Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:
❝ Biwi ke saath Acchi tarah raha karo.
(Quran 4:19)
❝ Aurto ka Haq Mardo par waisa hee hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai, Al batta mardo ko unn par fazeelat hasil hai. (Quran 2:228)
Isi Tarha Allah Ke Rasool (ﷺ) ki Aahadees me Aata hai ke:
❛ Aurato se behtar Sulook karo kyunki Aurat pasli se paida ki Gae hai aur pasli ka sab se zyada tedha hissa woh hai jo uska buland hissa hai.. Agar tu Usey Seedha karne lage ga tou Usey Thodh dega aur agar Chodh dega tou Tedhi hee Rahegi, Lihaza Aurto se Accha Sulooq karo. (Bukhari 3331)
❛ Koi Momin Mard, Momina Aurat, Yaani Apni Biwi se Bhugz(nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi. (Muslim 1467)
❛ Aur dastoor ke Mutabiq Tumhari Biwiyo ki khuraaq aur Phoshaaq tumhare Zimme hai. (Hadith: Abu Dawud 1905)
Rasool’Allah (ﷺ) se phucha gaya ke biwi ka mard par kya haq hai tou aap ne farmaya ke:
❛ Jab tu khana khae tou Usey khana khila aur jab tu Pehne tou Usey bhi Pehnna aur uske Muuh par na Maar, Usey bura bhala Kahe na Uss se Qata Talluq kar magar yeh ke Ghar ke Andar Andar. – (Abu Dawud 2142)
❝ Agar tum chaaho bhi to apni Biwiyo ke Darmiyaan Adal na kar sakoge. (Quran; Surah Nisa; 4:129)
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya ke,
❛ Aye Allah! yeh meri taqseem aise muamle me hai jis me mera ikhtyaar hai aur jiss baat me tera ikhtyaar hai, mera nahi uss par mujhey malamat na farmana.
(Hadith: Abu Dawud 2134)
(Biwi vo Wahid shaks hai jo sirf apne shohar k liy sab kuch chhor deti h, shohar ki Mohabbat biwi ka haq hai. Shohar ka waqt or pyar milna biwi k liy kisi neimat se kam nahi hai,)
Hamare huzur ka farman hai ki Apni biwi ke sath achha saluk or bepanah Mohabbat karo, uski aankh mai aansu na laao, vo sirf tumahe waqt, mohabbat waqar ( عزت، مرتبہ، سکون،) or izzat ki mohtaj h.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें